Khuda ki Hasti…

Sufi poetry mein jo baat hum sab ki samajh mein ba-asaani ajati hai wo yeh k aik aisi hasti kahin na kahin, ya phir shayad har jaga, mojood hai jo dar asal hai toh aik lekin hum usay alag alag naam se yaad kartay hain. Khuda ki Hasti! USKA wujood! WOH kehta hai kay hamari shah-rugg se bhi qareeb hai lekin phir kabhi mehsoos hota hai aur kabhi USKO dhoondne mein sadiyaan bhi kam parti hain. Shayad Khuda ko bhi shararat ka shauk ho? Magar Khuda ko shararat kyun karni hogi? Kehtay hain WOH toh sab janta hai. Agar aisa hai toh phir hum se dua karnay ko kyun kehta hai? Shayad WOH chahta hai kay hum USAY pukarein, USKO dil se yaad karein, US se communicate karein. Toh is se yeh sabit hua k communicate karna kitna zaruri hai. Magar yeh communication kisi kitab se ya lectures se nahin aati. Yeh toh bas dil se hota hai. Jis ki jesi samajh, uska wesa Khuda aur wesa he raabta. Bohat say loag shayad meri is baat se disagree karein. Lekin mujhe parwah nahin. Main bas apne Khuda ka ilm rakhti hoon aur tu apnay khuda ka!

Loag aksar mujhe mazak mein kehtay hain kay tumhara dimagh parh parh kay kharab hogaya hai. Main yeh sochti hoon kay Baba Bullay Shah toh kehtay hain kay

“Parh Parh Aalim Faazil Hoya Tay Kadi Apnay Aap Nu Parheya He Nai….”

Wese toh yeh bohat famous song bana magar mujhe yaqeen hai k majority ne isay bas aik gana he samjha aur iska asal matlab jana he nahin. Dar asal is kalaam ki tehh mein jayen toh andaza hota hai actually insan ki haqeeqat kya hai. Woh haqeeqat jisko samajhtay samajhtay insan apni zaat he kho deta hai. Magar phir kehtay hain kay usi khoay huay ko sab milta bhi hai. Uski haqeeqat milti hai. Uska Khuda milta hai. Woh jo duniya mein kahin aur nahin milta. Na masjidon mein, na mandiron mein. Woh phir insan ko apne tootay huay dil mein milta hai. Us milnay mein jo sukoon hai, woh lafzon mein bayaan karna bhi mumkin nahin. Magar phir us milnay kay liye pehle apni zaat ka khona shart hai. Kyun kay aisa milna bhi kya milna jis ko paanay ki khwahish mei, main apni mukamal hasti he na kho baithoon?

2 thoughts on “Khuda ki Hasti…

  1. Parus September 5, 2016 / 7:30 PM

    Dunya ko pane k chakar main to mai ne apne apko kho diya, ab dhondti hn to apna ap hi nhi milta..sochti hm apna ap mile to shyd khuda b mil jae..Lekin bas sochti hi hn!

    Liked by 1 person

Leave a comment