Meri Zindagi to firaaq hai, woh azal se dil main makeen sahi
Wo nigah’e_shauq se door hain, rag’e_jaan se lakh qareen sahi
Hamein jaan dainee hai aik din, wo kisi tarah wo kahin sahi
Hamein aap khainchiye daar par, jo nahi koi to hameen sahi
Sar_e_toor ho, sar_e_hasher ho, hamein intizaar qubool hai
Wo kabhi milein, wo kahin milein, wo kabhi sahi, wo kahin sahi
Na ho un pe kuch mera bass nahi, k ye aashqi hai hawas nahi
Mai unhi ka tha, mai unhi ka hoon, wo mere nahi to nahi sahi
Mujhe bhaithne ki jaga milay, meri aarzoo ka bharam rahay
Teri anjuman mein agar nahi,teri anjuman k qareen sahi
Tera dar to hum ko na mil saka, teri rahguzar ki zameen sahi
Hamain sajda karne se kaam hai, jo wahan nahin to yahin sahi
Meri zindagi ka naseeb hai, nahin door mujh se qareeb hai
Mujhay uska gham to naseeb hai wo agar nahin to nahin sahih
Jo ho faisala woh sunaaiye usay hashr pe na uthaiye
Jo karain gay app sitam wahan, wo abhi sahi, wo yehin sahi
Use dekhne ki jo lau lagi tu ‘Naseer’ dekh hi lain gey hum
Wo hazaar aankh se door ho, wo hazaar pardah nasheen sahi
( Pir Naseer Udin Naseer Shah )